Sunday, July 31, 2011

nahi nigah main manzil to justaju hi sahi

nahi nigah main manzil to justaju hi sahi
nahi wisal mayasar to arzu hi sahi

na tan main khun faraham na ashk ankhon main
namaz e shauq to wajib hai be wazu hi sahi
...

gar intazar kathin hai to jab talak ay dil
kisi k wada e farda ki guftagu hi sahi

dayar e ghair main mehram agar nahi koi
to Faiz zikr e watan apne ru ba ru hi sahi..

No comments:

Post a Comment